Bored Members - Guests | Media | White Bored | Interview | Bored Anthem - Songs | Boredwaani | Cartoons | Facebook | Twitter | Login

IPL Song: from spectator point of view...

by Bored Member

main hoon to tum ho, IPL hai...

ye befikra thiraktay badan
ye jaam ke chaltay daur
phursatt kisske pass hai
koi dekhay meri aur...

ye muskuraatay chehrey
ye haseen manzar
ye khilaadiyon ki mandi
aur in-main biktey career...

main khada hoon ek kauney main
muskuraa raha hoon in par
jissey dekhney ki phursatt nahi
bazaar saza hai usskey dum par...

bazaar lagtaa rahey
ye samajhnaa hai jaroori
cricket meri taqat hai
nahi meri mazboori...

itnaa na ithhlaao
kar-ke 'maya' ki chot
ye nahi bhoolna
mere pass hai remote...
mere pass hai remote...


by straight point

4 comments:

Gaurav Sethi said...

lekin remote ke saath kahan jaogey?

Anil Singh said...

picking from where Naked had left:

...aur jab bhi vaapas aaoge, TV par IPL hi lagaoge;

Kosoge bahut, cheer leaders ko;
Par baar baar nazar un par hi tikaoge;

Kisi shayar ne kaha, yeh duniya khel ka maidan hai;

Agar khel ki chamak damak se ghabraoge, to kaho ye khel kaise khel paoge ....

straight point said...

wahi jahan koi aata jaata nahi... :)

straight point said...

bahoot khoob AB! bahoot khoob!

must say i failed in what i wanted to say thru this song...i wanted to portray that while they are spending millions on stars no body is caring on what plight average spectator have to go thru to watch a match in sadium or the '5 ball over' telecast we all have to deal with...